Yeh bayaan kaise karen
ki kucch hai khaali
Is kucch ka matlab
kucch hai bhi, nahi pata
So toh rahe hain par sone ka ehsaas nahi
Jee toh rahe hain par jeene ka suroor nahi
Din badalte hain dopahar mein
Dopahar se shaam
Shaam ka aalam kucch aisa
mano de raat ka paigaam
Paigaam-e-bayan kya karen
ke kucch hai khaali?
Is kucch ka matlab
kucch hai bhi, nahi pata
Usne kaha, be-waqt ke khayal hain
Tumne kaha, be-waqt ke gile hain
Waqt ne kaha, 'arre mujhse poocha toh hota'
'Khayal-e-baiyaan toh kiya hota'
Fir na kehte tum
ke kucch hai khaali..
par is kucch ka matlab
kucch hai bhi, nahi pata
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
a very impressive beginning miss!
Post a Comment